Qisa-e-hijar agar tujh
Qisa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jaiyen
Jaan-e-jaan umar nahien is mein zamany lag jaiyen
Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny
Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jaiyen
Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy
Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jaiyen
Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein
Rog mujh ko na kahien phir sy purany lag jaiyen
Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab
Saary mousam hi teri yaad dilany lag jaiyen
Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi
Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jaiyen
Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni
Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jaiyen.
Koi dhoond aisa humsafar
Koi dhoond aisa humsafar
Jisey tu apna bana sakey
Tu kahey k raat hy
Or woh chandni luta sakey
Tere ansuon ko woh samait le
K koi na tujh ko rula sakey
Teri raah me ho jo mushkilain
Apni palkon se woh utha sakey
Tujhe rakh le apne hisaar me
K tujh ko na koi chura sakey
Woh ho tere itna qareeb k
Kisi ki yaad b na tujhe a sakey
Han….
Koi dhoondh aisa humsafar
Jo meri tarha tumhe chah sakey…
phir hui Sheen
phir hui Sheen Alif Meem KHUDA Khair karay,
pee liya Jeem Alif Meem KHUDA Khair Karay,
Ishq pehla hai ho na jaoun kahee’n dar hai mujhay,
Noon Alif Kaam Alif Meem KHUDA Khair karay…
Naa Aayegi meri Yade
Naa Aayegi meri Yade, Tumhe fir se satane
ko,,
Naa Hogi sada koi, tumhe fir se Manane
ko,,
Mujhe Aawaz jab doge fir khamoshi paoge
Naa hoga kabhi koi, fir Laut Aane ko,,
Kahi jab dur Jaoge, mera saya Na paoge
Koi na pas me hoga,
Naa koi bulane ko.
Dekhoge kiska Chehra, fir Tanhaiyo me
Yuhi
Naa hoga kabhi koi, hasane ko Rulane ko.
Naa hogi meri Sanse, na me Aawaz dunga Chahunga tumhe Tab b, umar bhar
Muskurane ko.
Suna lena kabhi khud ko, meri ye Dasta jo
hai
Lamhe b lagenge kam, meri dasta sunane
ko.
Naa milna kabhi na mujhko yad karna
Basa lena meri Yaade, kabhi bas Gunguna
ne ko.
Karoge Yaad tum b to kabhi Tanhayi jab
hogi
Tumhe me Yaad Aaunga bas 1 Lamha bitane ko…!!!
Sheher JamaL Ke Khas
Sheher JamaL Ke Khas O Kha-Shaak Ho Gae
Ab Aaye Ho Jab Aag Hai Hum Khaak Ho Gae
Hum Se Farog-E-Khaak Na Zebaii Aab Kii
Ka’ee Kii Tarah Tohmat-E-Poshak Ho Gae
Peerahan-E-Saba Tu Kisi Tor SiL Gaya
Daman-E-Sad Bahaar Magar Chaak Ho Gae
Aey Abr-E-Khas! Hum Pe Ab Barasne Ka KhayaL
JaL Kar Tere Firaak Me Jab Raakh Ho Gae
Qaim Thay Apne Ahad Pe Yeh Deedah Haaye Ghum
Kia Yaad Aa Gaya Hai Keh Nam-Naak Ho Gae
Ab Tak Junoo’n Hii Apna Asasa Raha Gar
Tujh Se MiLe Sahib-E-Adraak Ho Gae
Khushbu Toh Ban Na Paaye So Kuch Hum Se Be-Hunar
Aey Mauj-E-Saba Tere Pe-Chaak Ho Gae . . . */